Log mujh se apni muhabbaton ka sila mangty hain

Log Mujh Se Apni Muhabbaton ka Sila Mangte Hain
Main Aksar Heran Hota hon k ya kia mangte hain

Andhair nagri main, sunsan rahon par, ban k Ajnabi log
temtamaty jugnu sy, chamakty setaron ki Zia mangte hain

Ban k sanp, chup k aasteenon main, thartharati raaton main
kar k qatal mere armanon ka, meri chahton ka bhala mangte hain

pansa k kashti, anjane safar main, soch k banwar main
day k chakme, masoom chehray, mere kafly ka nakhuda mangte hain

bahar mosam main, dil k angan ko, laga k Qafas apni berukhi k
weeran kar k mery dil ki galian apni wafaon ka sila mangte hain

bas kr SHAMAS, na jal jaye kagaz, un ki dekkhti nafraton sy
de k dhoke, kr k jafa, ab tere labon sy dua mangte hain


Comments

Popular posts from this blog

koi zabat day na jalal day muje sirf anta kamal day

types of kurtosis, leptokurtic, mesokurtic, platykurtic

har koi dil ki hatheli pay hai sehra rakhy