Posts

Showing posts with the label Ghazal / Urdu Poetry

akeely chor jaty ho ye tum acha nhi karty, humara dil jalaty ho ye tum acha nhi karty

Image

Na abtida ki khabar hai na intha malom, raha ye wahem keh hum hain so ye bhi kia melom

Image

koi zabat day na jalal day muje sirf anta kamal day

Image
koi zabat day na jalal day muje sirf anta kamal day muje apni raah pay daal day kah zamana meri masal day teri rehmaton ka nazool ho muje mehnaton ka sila mely  muje maal o zar ki hawas na ho muje bas tu razaq e hala day mery zehan main teri fikar ho meri saans main tera zakar ho  tera khoof meri najat ho subhi khoof dil say nikal day  teri bargah main aye Khuda meri roz o shab hai ye hi dua tu raheem hai, tu kareem hai, muje mushkalon sy nakal day

Ye arzoo thi kah tuje gull k robru karte

Image
Ye arzoo thi kah tuje gull k robru karte  hum aur bulbal baytab gaftgu karte Piambar na muyasar howa tu khoob howa zaban e gair sy kia shahrah arzoo karte meri tarha say mah o mahar bhi hain awara kisi habib ki ye bhi hain justju karte jo dekhy teri zanjeer e zulaf ka aalam  aseer hone ki azad arzoo karte  na poch aalam bargashta talai aatish barsti aag, jo baran ki Arzoo karte 

Log mujh se apni muhabbaton ka sila mangty hain

Image
Log Mujh Se Apni Muhabbaton ka Sila Mangte Hain Main Aksar Heran Hota hon k ya kia mangte hain Andhair nagri main, sunsan rahon par, ban k Ajnabi log temtamaty jugnu sy, chamakty setaron ki Zia mangte hain Ban k sanp, chup k aasteenon main, thartharati raaton main kar k qatal mere armanon ka, meri chahton ka bhala mangte hain pansa k kashti, anjane safar main, soch k banwar main day k chakme, masoom chehray, mere kafly ka nakhuda mangte hain bahar mosam main, dil k angan ko, laga k Qafas apni berukhi k weeran kar k mery dil ki galian apni wafaon ka sila mangte hain bas kr SHAMAS, na jal jaye kagaz, un ki dekkhti nafraton sy de k dhoke, kr k jafa, ab tere labon sy dua mangte hain