pochte ho to suno kese basar hoti hai, raat kheerat ki sadqay ki sehar hoti hai

pochty ho to suno kesy basar hoti hai
raat kherat ki sadqy ki sehar hoti hai 

saans bharny ko tu jeena nhi kehte ya rab
dil hi dokhta hai na ab asteen tar hoti hai 

jesy jagi hoi ankhoon main chubain kanch khawab
raat asi tarha dewanon ki basar hoti hai 

gham hi hai dushman mera, gham hi ko dil dhoondta hai 
ayk lamhe ki judai bhi agar hoti hai 

ayk markaz ki talash ayk bhatki khoshboo
kabhi manzal kabhi tamheed e safar hoti hai 


Comments

Popular posts from this blog

koi zabat day na jalal day muje sirf anta kamal day

types of kurtosis, leptokurtic, mesokurtic, platykurtic

har koi dil ki hatheli pay hai sehra rakhy